Muneer Shikohabadi

zaKHmi na bhul jaen maze dil ki Tis ke

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
zaḳhmī na bhuul jaa.eñ maze dil kī Tiis ke
lillāh chhiḌke jaao namak piis piis ke
ġhussa hai zahr haq meñ dil-e-be-anīs ke
almās pīste ho abas daañt piis ke
mailī nigāh hotī hai ā.īna dekh kar
nazzāre muddatoñ se haiñ rū-e-nafīs ke
ḳhalvat meñ hī tasavvur-e-jānāñ nadīm hai
tālib jalīs ke haiñ na ḳhvāhāñ aniis ke
ma.anī na paa.e jauhar-e-shamshīr-e-yār ke
TukḌe jigar ke ho ga.e TukḌe kasīs ke
phīkā hī zā.iqa dahan-e-zaḳhm kā rahā
kyā bad-maza huā maiñ namak piis piis ke
pīr-e-falak kisī ko na degā zar-e-nujūm
ya.anī diram haiñ ye kaf-e-dast-e-ḳhasīs ke
kaT kaT gayā maiñ dekh ke mazmūn-e-qatl ko
ai but qalam hoñ haath tire ḳhush-naves ke
das biis har mahīne meñ abrū nazar paḌe
is saal saare chāñd hue tiis tiis ke
harf aa gayā shikastagī-e-dil ke likhne meñ
TuuTe qalam hazāroñ shikasta-naves ke
likhte haiñ chhup ke kātib-e-āmāl sab kā haal
a.amāl-nāma parcha haiñ ḳhufya-naves ke
maktūb meñ ibārat-e-rañgīñ likho 'munīr'
fiqre nahīñ pasand daqīq-o-salīs ke
Top Urdushayar.com