ai but jo shab-e-hijr meñ dil thaam na lete
kalma meñ bhī hotā to tirā naam na lete
zid par agar aa jaa.eñ ham ai rashk-e-masīhā
mar jaate magar muñh se tirā naam na lete
kāmil koī miltā jo ḳharīdār-e-dil-o-jāñ
ye jins yūñhī bechte ham daam na lete
kyuuñ hashr meñ dīvāna hameñ kah ke pukārā
nafrat thī to ab bhī vo mirā naam na lete
vahshat-kada-e-dahr meñ chaltā jo bas apnā
dushman se mohabbat ke sivā kaam na lete
jārob-kashī miltī agar karb-o-balā kī
hāthoñ se 'munīr' aur koī kaam na lete