Muneer Shikohabadi

abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
abrū kī terī zarb-e-do-dastī chalī ga.ī
jitnī kasā.ī saif ye kastī chalī ga.ī
pesh-e-nazar hasīnoñ kī bastī chalī ga.ī
ā.īne kī bhī husn-parastī chalī ga.ī
achchhā kiyā sharāb ḳhudā ne harām kī
rindoñ ke saath bāda-parastī chalī ga.ī
kis shahr se misāl duuñ aqlīm-e-ishq ko
jitnī ye ujḌī aur bhī bastī chalī ga.ī
roze mah-e-siyām meñ toḌe sharāb se
ham fāqa-mastoñ kī vahī mastī chalī ga.ī
vahshat-kade se rahmat-e-haq ne bhī kī gurez
badle hamāre ghar se barastī chalī ga.ī
khā.īñ ḳhudā kī raah meñ lākhoñ hī Thokareñ
tā-lā-makāñ bulandī-o-pastī chalī ga.ī
mastoñ ne tark-e-mai kī qasam khaa.ī hai to kyā
tauba kahāñ vo baat jo mastī chalī ga.ī
in abruoñ ne ek ishāre meñ jaan lī
yak-dast terī teġh-e-do-dastī chalī ga.ī
dil hī gayā to kaun butoñ kā kare ḳhayāl
ka.abe ke saath sañg parastī chalī ga.ī
hai āsmān tak tire giryāñ kā maz.haka
bijlī bhī rote dekh ke hañstī chalī ga.ī
go dil ke badle daulat-e-duniya-o-dīñ milī
to bhī ye jins haath se sastī chalī ga.ī
dāġh-e-sharāb dāman-e-taqvā meñ rah gayā
nashshe ko rūh-e-shaiḳh tarastī chalī ga.ī
tahtus-sarā ko pahuñchī hamārī farotanī
ham jitne past ho ga.e pastī chalī ga.ī
kyuuñ kar ho ijtimā-e-naqīzain ai 'munīr'
aate hī maut ke mirī hastī chalī ga.ī
Top Urdushayar.com