Muneer Shikohabadi

umr baqi rah-e-jaanan mein basar hone ko hai

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
umr baaqī rāh-e-jānāñ meñ basar hone ko hai
aaj apnī saḳht-jānī sañg-e-dar hone ko hai
ālam-e-pīrī meñ hai dāġh-e-javānī kā faroġh
ye charāġh-e-shām ḳhurshīd-e-sahar hone ko hai
āmad-e-pīrī meñ ġhaflat hai javānī kī vahī
niiñd se āñkheñ nahīñ khultīñ sahar hone ko hai
ham ko rusvā kar ke rusvā.ī se bachnā hai muhāl
tū bhī tash.hīr ai nigāh-e-fitna-gar hone ko hai
dāġh-e-isyāñ ik taraf ashk-e-nadāmat ik taraf
nuuh ke tūfān se jañg-e-sharar hone ko hai
kaun sī dhun ho ga.ī dekheñ dil-e-sad-pāsh ko
ye shikasta saaz kis naġhme kā ghar hone ko hai
ḳhalvat o kasrat meñ mujh se pūchhtī hai bekasī
us taraf ho jā.ūñ maiñ bhī tū jidhar hone ko hai
yūsuf-e-mazmūñ ko laa.e fikr-e-kuhna ai 'munīr'
ye zuleḳhā naujavāñ bār-e-digar hone ko hai
Top Urdushayar.com