Muneer Shikohabadi

jo zauq hai ki ho daryaft aabru-e-sharab

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
jo zauq hai ki ho daryāft ābrū-e-sharāb
to chashm-e-jām se ai shaiḳh dekh sū-e-sharāb
kabhī to de gul-e-dastār-e-shaiḳh bū-e-sharāb
qabā kī bel meñ yārab lage kadū-e-sharāb
vo mast haiñ jo haiñ majrūh-e-teġh-e-mauja-e-mai
jigar ke chaak pe ai gul bane subū-e-sharāb
jo āshiq-e-lab-e-be-gūn-e-yār ho farhād
to be-sutūn se bhī jaa.e shīr-e-jū-e-sharāb
vo mast haiñ ki jo tiijā pas-e-fanā hogā
hamāre phuul baneñge gul-e-kadū-e-sharāb
hamesha mai-kade meñ ḳhush-qadoñ kā majma.a hai
hazāroñ sarv lage haiñ kināre jū-e-sharāb
lagā.īñ taak ke us mast ne jo talvāreñ
dahān-e-zaḳhm-e-badan se bhī aa.ī bū-e-sharāb
Dubo diyā mujhe tūfān-e-mai ne ai saaqī
amīq-tar qadd-e-āmdam se nikle jū-e-sharāb
namāz shukr kī paḌhtā hai jaam toḌ ke shaiḳh
vazū ke vāste letā hai ābrū-e-sharāb
vo rashk-e-hūr mai-e-mushkbū kā ḳhvāhāñ hai
gul-e-bahisht hai mushtāq-e-rañg-o-bū-e-sharāb
sadā-e-qulqul-e-mīnā se ho gayā sābit
ki peT bhar ke kareñ mast guftugū-e-sharāb
ba-rañg-e-shīsha-e-mai ab kī fasl-e-bārish meñ
kareñge baiTh ke kashtī meñ sair-e-jū-e-sharāb
khulā ye shīshoñ ke jhukne se haal ai saaqī
ki sar-kashī nahīñ lāzim hai rū-ba-rū-e-sharāb
asīr-e-dām-e-alā.eq hoñ kis tarah mai-ḳhvār
ki rassiyoñ meñ nahīñ bāñdhte subū-e-sharāb
na ho jo kisht-e-amal apnī sabz ai saaqī
riyāz-e-ḳhuld se ham kaaT laa.eñ jū-e-sharāb
ilāj-e-zo.af-e-basar nūr-e-mai hai mastoñ ko
hamārī ā.ankhoñ kī chashma banegī jū-e-sharāb
patā lagā ke gayā sū-e-gulshan-e-jannat
kahāñ kahāñ nahīñ kī maiñ ne justujū-e-sharāb
kisī ne sāġhar-e-mai se guloñ ko dī tashbīh
nasīm-e-bāġh se aa.ī jo aaj bū-e-sharāb
mileñge sāġhar-o-mīnā jo ḳhālī use saaqī
kareñge dīda-o-dil apnī justujū-e-sharāb
kiyā jo mai-kashoñ ne azm-e-sair-e-ālam-e-āb
to badle toñboñ ke haath aa ga.ī kadū-e-sharāb
ḳharīd-e-jins-e-shafā.at meñ hogī kaifiyat
hamārī gāñTh meñ hai naqd-e-ābrū-e-sharāb
bahak ke jā.ūñ jo mastī meñ jānib-e-kausar
to mujh ko dast-e-subū khīñch laa.e sū-e-sharāb
ye kis ke aane se mai-ḳhāna meñ hui shādī
dulhan ke itr se miltī hai aaj bū-e-sharāb
badan jo TuuT rahā hai zurūf-e-mai ke saath
banā hai kyā gul-e-ādam se har subū-e-sharāb
vo rashk-e-mai kare bālā-e-bām mai-ḳhvārī
ilāhī aaj ḳhat-e-kahkahshāñ ho jū-e-sharāb
zurūf-e-bāda-e-gul-gūñ ho mere kāñdhoñ par
farishtoñ se bhī maiñ uThvā.ūñ har subū-e-sharāb
khulā ye phūloñ ke hone se haal ai zāhid
pas-e-fanā bhī hai rindoñ ko ārzū-e-sharāb
sunā hai paas masīhā ke āftāb bhī hai
kareñge maut ke hiile se justujū-e-sharāb
na ho sakī koī ta.azīr-e-mai-kashī sābit
ziyāda had se baḌhī aaj guftugū-e-sharāb
gadā-e-bāda huuñ ulfat meñ chashm-e-maigūñ ke
tire faqīr kā toñbā banā kadū-e-sharāb
huzūr-e-duḳhtar-e-zar haath paañv kāñpte haiñ
tamām mastoñ ko rāsha hai rū-ba-rū-e-sharāb
'munīr' sāqī-e-kausar se luuñ sharāb-e-tuhūr
kabhī maiñ aañkh uThā kar na dekhūñ sū-e-sharāb
Top Urdushayar.com