Muneer Shikohabadi

jab ham-baghal wo sarw qaba posh ho gaya

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
jab ham-baġhal vo sarv qabā posh ho gayā
qumrī kā tauq halqa-e-āġhosh ho gayā
ash.ār mere sun ke vo ḳhāmosh ho gayā
ġhuncha ba-rañg-e-gul hama-tan-gosh ho gayā
pī ġhair ne sharāb mujhe be-ḳhudī huī
nashsha chaḌhā kisī ko maiñ behosh ho gayā
is darja be-ḳhudī ne dikhā.īñ ta.alliyāñ
gardūñ ġhubār-e-qāfila-e-hosh ho gayā
teġh-e-ajal kī kaaT se Dartā nahīñ huuñ maiñ
zaḳhmoñ se jism-e-zār zira-posh ho gayā
ai but ḳhayāl-e-vasf-e-dahan meñ na paa.ī raah
bhaTkā phirā suḳhan jo maiñ ḳhāmosh ho gayā
ḳhūñ-ḳhvāroñ ke huzūr na aayā hamārī tarah
ā.īna jauharoñ se zira-posh ho gayā
tāle.a jagā.e aap ne arbāb-e-ishq ke
yūsuf kā husn ḳhvāb-e-farāmosh ho gayā
pinhāñ hai zer-e-sabza-e-ḳhat ātish-e-ezār
sho.ala fusūn-e-husn se ḳhas-posh ho gayā
hūreñ gale lipaTtī haiñ aa aa ke raat din
jannat kī raah kūcha-e-āġhosh ho gayā
us mast-e-husn kī nigah-e-garm ke huzūr
ā.īna-e-jām bāda-e-sar-josh ho gayā
be-lutfiyoñ se tum jo mile maiñ ne jaan dī
phāñsī gale meñ halqa-e-āġhosh ho gayā
abr-e-siyah ke saaye ne surma khilā diyā
sabza tamām tūtī-e-ḳhāmosh ho gayā
kāñdhoñ se mere kātib-e-āmāl gir paḌe
taḌpā maiñ is qadar ki subuk-dosh ho gayā
kānoñ kā husn jalva-e-āriz se paḌ gayā
ruḳh āftāb-e-sub.h bunā-gosh ho gayā
uḌtā huuñ ishq meñ lab lālīñ ke ai 'munīr'
goyā sharār ātish-e-ḳhāmosh ho gayā
Top Urdushayar.com