Muneer Shikohabadi

roz dilha-e-mai-kashan TuTe

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
roz dilhā-e-mai-kashāñ TuuTe
ai ḳhudā jām-e-āsmāñ TuuTe
dushmanī is zamīn kī dekho
gumbad-e-qabr-e-dostāñ TuuTe
vasf-e-abrū-e-pur-shikan jo na ho
kyā ajab ḳhanjar-e-zabāñ TuuTe
rañg laa.e agar shikasta-dilī
bulbulo shāḳh-e-āshiyāñ TuuTe
nik.hat-e-gul se bas gayā gulshan
ġhuncha kyā chaTke itr-dāñ TuuTe
ḳhuub phailī hai bū-e-bāda-e-ishq
shīsha-e-dil kahāñ kahāñ TuuTe
le uḌegī havā-e-bām hameñ
na kareñge jo nardbāñ TuuTe
qasd-e-parvāz kā jo bojh paḌā
bāzū-e-murġh-e-nā-tavāñ TuuTe
lucknow chal ke jī lagā.ūñ 'munīr'
kis liye dil mirā yahāñ TuuTe
Top Urdushayar.com