Muneer Shikohabadi

hath malwati hain huron ko tumhaari chuDiyan

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
haath malvātī haiñ hūroñ ko tumhārī chūḌiyāñ
pyārī pyārī hai kalā.ī pyārī pyārī chūḌiyāñ
band kar detī haiñ sab ko pyārī pyārī chūḌiyāñ
boltī haiñ laakh meñ baḌh kar tumhārī chūḌiyāñ
ai buto sarkash agar ho ātish-e-rañg-e-hinā
sho.ala-e-javvāla ban jaa.eñ tumhārī chūḌiyāñ
barhamī halqa-bagoshoñ kī unheñ manzūr hai
phuuT Dalvātī haiñ lākhoñ meñ tumhārī chūḌiyāñ
hūroñ kī āñkhoñ ke halqe ai parī maujūd haiñ
in butānoñ se chaḌhāo pyārī pyārī chūḌiyāñ
dil meñ chhed kar ḳhuun kī būñdoñ se har reza bhare
TuuT kar ban jaa.eñ būñde kī kaTārī chūḌiyāñ
sarv-qāmat haiñ hazāroñ dām-e-ulfat meñ asiir
tauq-e-qumrī haiñ tumhārī pyārī pyārī chūḌiyāñ
sadqe hotī haiñ barābar un kalā.ī pahuñchoñ par
gird phirtī haiñ ḳhushī se baarī baarī chūḌiyāñ
dast-e-nāzuk ne zamāne ko kiyā halqa-ba-gosh
kyā khule bandoñ nazar aa.iiñ tumhārī chūḌiyāñ
ai falak un ko nahīñ bhātā sitāroñ kā bhī joḌ
kahte haiñ merī balā pahne kuñvārī chūḌiyāñ
rū-e-raushan par jo tum ne haath rakhā naaz se
chāñd kā haala nazar aa.iiñ tumhārī chūḌiyāñ
hūreñ bhejeñgī tujhe ai rashk-e-gul firdaus se
lā.egī mashshāta-e-fasl-e-bahārī chūḌiyāñ
kyuuñ na nikle nok ḳhūñ-rezī ke har andāz meñ
lauT kar bhī dil meñ chubhtī haiñ tumhārī chūḌiyāñ
bal nikālā saikḌoñ bāñkoñ kā dast-e-nāz se
baañk ke fan meñ huiiñ yaktā tumhārī chūḌiyāñ
ḳhuun kī būñdeñ banī haiñ chunniyāñ yāqūt kī
dil meñ chubh kar de rahī haiñ zaḳhm-e-kārī chūḌiyāñ
kyuuñ na hoñ halqa-ba-gosh aa kar hasīnān-e-bahisht
hūroñ ke kānoñ kī baalī haiñ tumhārī chūḌiyāñ
maiñ ne hāthā-pā.ī jab kī sard-mohre se kahā
garm-joshī se huiiñ ThanDī hamārī chūḌiyāñ
dekh lo ai gul-ruḳho murġhān-e-dil pāband haiñ
baal ke phañde kī sūrat haiñ tumhārī chūḌiyāñ
karte haiñ apne zabānoñ meñ tire hāthoñ kā vasf
boltī haiñ ek muñh ho kar sitārī chūḌiyāñ
har sitāre kī chamak nūr-e-jahān-e-husn hai
rakhtī haiñ hukm-e-jahāñgīrī tumhārī chūḌiyāñ
jaan paḌ jaatī hai dast-e-nāz se har chiiz meñ
rañg ban kar chaḌhtī haiñ hāthoñ meñ saarī chūḌiyāñ
go guhar ho ai parī nāz-e-nigāh-e-hūr kā
ainak-e-rizvāñ kī halqa haiñ tumhārī chūḌiyāñ
kar ke hāthā-pā.ī Dolī meñ kiyā un ko savār
saaf ThanDī ho ga.iiñ vaqt-e-savārī chūḌiyāñ
būñdoñ ke halqe nahīñ paḌte haiñ ai gul nahr meñ
Dāltā hai hindu-e-abr-e-bahārī chūḌiyāñ
ḳhuun lākhoñ kā kiyā karte haiñ har jhankār se
ḳhuub sachchā joḌ chaltī haiñ tumhārī chūḌiyāñ
ġhair DevḌhī par kiyā karte haiñ ārā.ish kā zikr
halqa-e-bairūn-e-dar Thahrī tumhārī chūḌiyāñ
naaz se farmāte haiñ luuñ kis tarah terā salām
haath uTh sakte nahīñ aisī haiñ bhārī chūḌiyāñ
utrī paḌtī haiñ phisal kar dast-e-nāzuk se mudām
kis tarah Thahreñ kalā.ī meñ tumhārī chūḌiyāñ
maar Daalā ātish-e-ġham ne jalā kar ai 'munīr'
ThanDī kar diiñ sog meñ us gul ne saarī chūḌiyāñ
Top Urdushayar.com