be-vaqt jo ghar se vo masīhā nikal aayā
ghabrā ke mire muñh se kaleja nikal aayā
madfūn huā zer-e-zamīñ kyā koī vahshī
kyuuñ ḳhaak se ghabrā ke bagūlā nikal aayā
ā.īne meñ muñh dekh ke maġhrūr hue aap
do shakloñ se kaisā ye natīja nikal aayā
zaḳhmī jo kiyā tum ne khule ishq ke asrār
jo kuchh ki mire dil meñ nihāñ thā nikal aayā
Thukrāne lage dil ko to barpā hue tūfāñ
qatra jo haTāne lage dariyā nikal aayā
ab ruk nahīñ saktī hai 'munīr' āh-e-jigar-soz
dam ghuTne lagā muñh se kaleja nikal aayā