asar kar ke āh-e-rasā phir ga.ī
huā saaf matl.a havā phir ga.ī
savārī tirī aa ke kyā phir ga.ī
idhar ko udhar kī havā phir ga.ī
mire sar se teġh-e-jafā phir ga.ī
ka.ī baar aa.ī qazā phir ga.ī
gayā dev-e-ġham jalva-e-yār se
parī-zād aayā balā phir ga.ī
ye jāñ-baḳhsh us jāñ-satāñ kī hai chaal
vo aayā jo phir kar qazā phir ga.ī
ghaḌī do ghaḌī kā hai terā marīz
tabīb uTh ga.e har davā phir ga.ī
tū aatā nahīñ is galī meñ 'munīr'
tabī.at tirī ham se kyā phir ga.ī