judā.ī ke sadmoñ ko Taale hue haiñ
chale jaao ham dil sambhāle hue haiñ
zamāne kī fikroñ ne khāyā hai ham ko
hazāroñ ke muñh ke nivāle hue haiñ
gazand apne hāthoñ se pahuñchā hai ham ko
ye saañp āstīnoñ ke paale hue haiñ
nahīñ naam ko un meñ bū-e-muravvat
ye gul-rū mire dekhe-bhāle hue haiñ
nahīñ e'tibār ek dam zindagī kā
azal se qazā ke havāle hue haiñ
hazāroñ ko the sarfaroshī ke da.ave
tasadduq fidā hone vaale hue haiñ
ham-āvāz haiñ aish o ġham donoñ lekin
tarāne ye Thahre vo naale hue haiñ
'munīr' ab rah-e-haq meñ laġhzish na hogī
yad-ullāh mujh ko sambhāle hue haiñ