vo shaḳhs yuuñ nigāh meñ nigāh Daal kar gayā
bujhī bujhī sī zindagī mirī bahāl kar gayā
vo sāda-lauh thā magar ġhazab kī chaal kar gayā
nahīñ javāb jis kā mujh se vo savāl kar gayā
mujhe to apnī justujū us āstāñ pe le ga.ī
vo dushman-e-vafā na jaane kyā ḳhayāl kar gayā
aa gayā to zulmat-e-ġham-e-firāq chhaT ga.ī
jo mehr-o-mah na kar sake tirā jamāl kar gayā
shikan shikan jabīñ na kar agar umīd-e-ḳhair par
faqīr tere dar pe aa gayā savāl kar gayā
qadam qadam pe but-kade rah-e-haram meñ the magar
mirā bachāo zikr-e-rabb-e-zul-jalāl kar gayā