niyyat ho agar nek to detā hai ḳhudā bhī
karte haiñ amal log to miltā hai sila bhī
bātin kī harārat se phuñke jaate haiñ tan-man
purvā.ī bhī chaltī hai barastī hai ghaTā bhī
chhū kar nahīñ guzrī hai tirī zulf-e-muattar
is baar to mahrūm chalī aa.ī sabā bhī
ik tum ho ki bichhḌe to bichhaḌ hī ga.e ham se
milte haiñ bahut log to hote haiñ judā bhī
ādāb-e-mohabbat the ki dāman nahīñ chhoḌā
tum duur na the duur na the band-e-qabā bhī
kis yaas ke aalam meñ hoñ kyā jāniye 'at.har'
muddat huī aa.ī nahīñ hoñToñ pe duā bhī