haath kyuuñ thakne lage haiñ qātiloñ se pūchhnā
ke bhī kyuuñ boltī haiñ gardanoñ se pūchhnā
tum ne to bas haal hī pūchhā thā mujh bīmār kā
aa ga.e haiñ kyuuñ umañD kar āñsuoñ se pūchhnā
jūjhte rahne kā hai sailāb se mafhūm kyā
kashtiyoñ ko khene vaale māñjhiyoñ se pūchhnā
bhūke bachche ke liye kyā shai hai mamtā kī taḌap
duudh se mahrūm maañ kī chhātiyoñ se pūchhnā
dhuup meñ patjhaḌ kī un kā peḌ se rishta hai kyā
sūkhe DanThal jin ke haiñ un pattiyoñ se pūchhnā
gūñjtī hai ik akele hans kī āvāz kyuuñ
kal mile the jin pe ham in sāhiloñ se pūchhnā
yaad hai ab tak mujhe 'at.har' ki merā baar baar
un ke naqsh-e-pā kahāñ haiñ rāstoñ se pūchhnā