athar shakeel

dasht ki aawargi ho chaak-damani bhi ho

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
dasht kī āvārgī ho chāk-dāmānī bhī ho
ishq hai dil meñ to vahshat kī farāvānī bhī ho
rāhat-e-qalb-o-nazar tum ho tashaffī bhī tumhī
aur tum mere liye vaj.h-e-pareshānī bhī ho
sūkhī āñkhoñ se takā karte haiñ sū-e-asmāñ
girya karne ko hamārī āñkhoñ meñ paanī bhī ho
kam se kam ye phone hī kā silsila baaqī rahe
hijr mushkil hai magar kuchh is meñ āsānī bhī ho
kaisī kaisī ḳhvāhisheñ is dil meñ paatī haiñ vajūd
ho añgeThī tum bhī ho aur raat barfānī bhī ho
dil duā-go hai 'shakīl-at.har' ki is kī tab.a meñ
hoshiyārī hī nahīñ thoḌī sī nādānī bhī ho
Top Urdushayar.com