mutma.in ho ke marne kā sāmān kar
zindagī ai ḳhudā mujh pe āsān kar
sirf rasmī ta.āruf hī kaafī nahīñ
mere nazdīk aa merī pahchān kar
rasm hai sajda-rezī to kuchh bhī nahīñ
qalb ko pahle apne musalmān kar
abr kī oT meñ chāñd kab kā chhupā
ab na chehre pe zulfeñ pareshān kar
maut to aa.egī be-talab aa.egī
zindagī hai to jiine kā armān kar
us se mil kar maiñ kahtā to kaise 'shakīl'
mujh ko ghar apne ik roz mehmān kar