hāsil kabhī jo us kī mohabbat na ho hameñ
pal-bhar kī bhī hayāt meñ rāhat na ho hameñ
shikve jo tum se haiñ vo tavaqqo.a ke saath haiñ
ummīd gar na ho to shikāyat na ho hameñ
jazbātiyat meñ tark-e-ta.alluq to kar chuke
kal apne faisle pe nadāmat na ho hameñ
ye aur baat hai ki laboñ se nahīñ ayaañ
ye to nahīñ ki tum se mohabbat na ho hameñ
ne.amat kī tarah dil pe lage haiñ tumhāre zaḳhm
kāfir kaho jo Tiis meñ rāhat na ho hameñ
kahte nahīñ zabān se 'at.har-shakīl' ham
ye to nahīñ ki ġham se aziyyat na ho hameñ