Sibt Ali Saba

musafiron mein abhi talKHiyan purani hain

Sibt Ali Saba

Sialkot, Punjab, Pakistan

1935-1980
musāfiroñ meñ abhī talḳhiyāñ purānī haiñ
safar nayā hai magar kashtiyāñ purānī haiñ
ye kah ke us ne shajar ko tane se kaaT diyā
ki is daraḳht meñ kuchh Tahniyāñ purānī haiñ
ham is liye bhī na.e ham-safar talāsh kareñ
hamāre haath meñ baisākhiyāñ purānī haiñ
ajiib soch hai is shahr ke makīnoñ kī
makāñ na.e haiñ magar khiḌkiyāñ purānī haiñ
palaT ke gaañv meñ maiñ is liye nahīñ aayā
mire badan pe abhī dhajjiyāñ purānī haiñ
safar-pasand tabī.at ko ḳhauf-e-sahrā kyā
'sabā' havā kī vahī sīTiyāñ purānī haiñ
Top Urdushayar.com