athar shakeel

chahat ko zindagi ki zarurat samajh liya

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
chāhat ko zindagī kī zarūrat samajh liyā
ab ġham ko ham ne terī ināyat samajh liyā
khāte rahe haiñ ziist meñ kyā kyā muġhālate
qāmat ko is hasīñ kī qayāmat samajh liyā
kirdār kyā rahā hai kabhī ye bhī sochte
sajde kiye to un ko ibādat samajh liyā
resham se narm lahje ke pīchhe mafād thā
is tājirī ko ham ne sharāfat samajh liyā
ab hai koī husain na lashkar husain kā
sar kaT ga.e to ham ne shahādat samajh liyā
is tarah umr chain se kaaTī 'shakīl' ne
dukh us se jo milā use rāhat samajh liyā
Top Urdushayar.com