athar shakeel

tauhid dil mein ho to labon par rahe KHuda

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
tauhīd dil meñ ho to laboñ par rahe ḳhudā
ham yuuñ jiye to kyā jiye be-dīn be-ḳhudā
lo yuuñ to ho ga.ī hai bahut kam zamīr kī
is āḳhirī charāġh ko bujhne na de ḳhudā
to rāh-e-rāst apne karam se dikhā mujhe
raste ġhalat hazār haiñ duniyā meñ ai ḳhudā
tālib haiñ bartarī ke magar haiñ amal se duur
ham ko jo kaam karnā hai vo kyuuñ kare ḳhudā
gar zāniyoñ ko miltī nahīñ hai sazā yahāñ
havvā kī beTiyoñ se kashish chhīn le ḳhudā
ab to sukūn baḳhsh ki 'at.har-shakīl' ne
is umr-e-muḳhtasar meñ bahut dukh sahe ḳhudā
Top Urdushayar.com