Mehwar Noori

yas-o-gham ranj-o-alam tanhaiyan ab ke baras

Mehwar Noori

Delhi, India

1946
yās-o-ġham rañj-o-alam tanhā.iyāñ ab ke baras
merī qismat meñ raheñ nākāmiyāñ ab ke baras
raushnī sūraj kī āñkhoñ par hai manzar dhuup haiñ
lag rahī haiñ sūrateñ parchhā.iyāñ ab ke baras
ā.īne meñ dekh kar ḳhud ko na tum honā udaas
ā.īnoñ meñ paḌ ga.iiñ haiñ jhā.iyāñ ab ke baras
dekhnā hogā sitam ye bhī zabāñ-bandī ke ba.ad
kaaT lī jā.eñgī sab kī uñgliyāñ ab ke baras
ḳhushk-sālī to nahīñ hai shahr meñ 'mahvar' magar
abr kab barsā.eñge allāh-miyāñ ab ke baras
Top Urdushayar.com