Mehwar Noori

jab tawaqqo ka silsila TuTa

Mehwar Noori

Delhi, India

1946
jab tavaqqo kā silsila TuuTā
ḳhush-gumānī kā dā.era TuuTā
niiñd TuuTī to ḳhvāb TuuT ga.e
aks bikhrā jab aa.ina TuuTā
aaj phir justujū kī maut huī
aaj phir merā hausla TuuTā
tabsira zindagī pe kyā kiije
jaise paanī kā bulbula TuuTā
aaj 'mahvar' hai is qadar tanhā
jaise ḳhud se bhī rābta TuuTā
Top Urdushayar.com