na un kā tarz na merā shi.ār ḳhatm huā
na aa.e vo na mirā intizār ḳhatm huā
hai tishnagī ko abhī jū-e-bār kī ummīd
agarche silsila-e-kohsār ḳhatm huā
ab āshkār huī hai haqīqat-e-duniyā
ḳhud apne aap pe jab iḳhtiyār ḳhatm huā
na thā bharosa to rakhte hī kaise ummīdeñ
sulūk-e-vaqt se har e.atibār ḳhatm huā
har ek shakl nazar aa rahī hai ā.īna
tilism-e-ishq kā gard-o-ġhubār ḳhatm huā