na ham ko yaad karo aur na yaad aao hameñ
ajiib hukm hai kahte haiñ bhuul jaao hameñ
tumhāre chehre to kuchh raushnī meñ aa jaao
jo ho sake to zarā der tak jalāo hameñ
hameñ aziiz ho kitne ye jānñe ke liye
hamārī jaan bhī hāzir hai āzmāo hameñ
khuleñge kitne hī asrār-e-lafz lafz magar
kabhī to tum bhī akele meñ gungunāo hameñ
zarūratoñ ke sabab ham bhī bik ga.e 'mahvar'
nazar se apnī gire haiñ zarā uThāo hameñ