apnī misāl aap hai vo be-misāl hai
ye dekhnā hai kaun mirā ham-ḳhayāl hai
har qahqahe meñ dard ke sāgar haiñ tah-nashīñ
dīvāna dekhne meñ to āsūda haal hai
kab sabza-e-nishāt hai āsūda-e-nazar
har samt surḳh surḳh salīboñ kā jaal hai
patthar ba-dast miltā hai har shaḳhs shahr meñ
ā.īna ban ga.e haiñ to bachnā muhāl hai
barbādī-e-hayāt pe 'mahvar' huuñ ḳhush bahut
barbādiyoñ kā merī unheñ bhī ḳhayāl hai