kisī bhī moḌ pe rokā na gumrahī se mujhe
koī gila bhī nahīñ apnī zindagī se mujhe
sabhoñ se miltā huuñ begāna-e-talab ho kar
na dostī se ġharaz hai na dushmanī se mujhe
safar se pahle zarūrī hai mudda.ā-e-safar
patā chalā ye sitāroñ kī kajravī se mujhe
faqīr-e-shahr to huuñ maiñ gadā-e-rāh nahīñ
karam kī bhiik na de aisī be-ruḳhī se mujhe
mire jilau meñ chalegā samundaroñ kā jalāl
na rok pā.egā koī shanāvarī se mujhe
rah-e-hayāt meñ kāñToñ ne mehrbāñ ho kar
bachā liyā hai azāb-e-shaguftagī se mujhe
kisī se mil ke bichhaḌne kī jab ghaḌī aa.ī
ghaḌī se ho ga.ī nafrat usī ghaḌī se mujhe
añdherī raat meñ dekhā hai mash.aloñ kā julūs
Darā diyā hai siyāsat ne raushnī se mujhe
mirī anā ne sabaq de ke ḳhud-parastī kā
chhuḌā diyā hai zamāne kī bandagī se mujhe
fareb-ḳhurda-e-tahrīk-e-ādamiyat huuñ
vafā kī aas nahīñ 'ramz' aadmī se mujhe