maiñ zamāne meñ huuñ lekin ye zamāna terā
haath merā hai luTātā hai ḳhazāna terā
tiir terā hai kamāñ terī nishāna terā
daam merā hai tah-e-dām hai daana terā
dā.ere sab ne aqā.ed ke banā rakkhe haiñ
varna maḳhsūs nahīñ koī Thikāna terā
jo bhī suntā hai vo unvān nayā detā hai
gasht kartā hai zamāne meñ fasāna terā
tez chaltī rahī tanqīd-o-siyāsat kī havā
gard-ālūd havā ā.ina-ḳhāna terā
ham-navā kis ko banā.ūñ kise hamrāz karūñ
maiñ akelā huuñ zamāne kā zamāna terā