athar shakeel

har ek shaKHs ko dushman agar banaoge

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
har ek shaḳhs ko dushman agar banāoge
mizāj pūchhne vaalā kahāñ se lāoge
jo sab ko apne hī me.aar par parakhte rahe
to zindagī meñ kise ham-safar banāoge
yahāñ to har koī chehre pe chehre rakhtā hai
uThā ke pahlū se kis ko kise biThāoge
tumheñ usuul tumhāre hī maar Dāleñge
na apne aap ko in se agar bachāoge
charāġh jalne lageñge tumhārī rāhoñ meñ
jo dūsroñ ke gharoñ meñ diye jalāo.ge
ye ahd tum se agar ho sake to kar lenā
hamāre ba.ad kisī kā na dil dikhāoge
nahīñ jhukoge agar ik ḳhudā ke aage tum
na jaane kitne daroñ par ye sar jhukāoge
vo tum se ruuTh ga.ī jo makāñ kī raunaq thī
ġharīb-ḳhāne ko ab kis liye sajāoge
supurd-e-ḳhāk to kar aa.e maañ ko tum 'at.har'
ġhamoñ kī dhuup meñ saaya kahāñ se pāoge
ye be-hisoñ kī hai bastī to phir 'shakīl' yahāñ
sadāqatoñ kā kise aa.ina dikhāoge
Top Urdushayar.com