hasrat-e-sikka-e-baḳhīl na kar
apne kashkol ko zalīl na kar
kuchh na boleñge mudda.ī ke ḳhilāf
dostoñ ko kabhī vakīl na kar
bahs jaarī rahe to behtar hai
mere da.ave ko be-dalīl na kar
maiñ farāsat-gazīdgī kā shikār
mujh ko farzāna-o-aqīl na kar
haath ūñchā rahe kushāda rahe
jeb ko kīsa-e-baḳhīl na kar
koī had hai tirī zarūrat kī
zindagī yuuñ mujhe zalīl na kar
'ramz' qaid-e-hayāt jhel abhī
itnī ujlat mire ḳhalīl na kar