kuchh is adā se safīrān-e-nau-bahār chale
salīb dosh pe rakh kar gunāhgār chale
nikal ke kū-e-mohabbat se so.e daar chale
hamāre saath na kyuuñ mausam-e-bahār chale
tumhārī yaad sahī qurbat-e-badan na sahī
kisī tarah to mohabbat kā kārobār chale
hamāre dam se ġham-e-zindagī kī azmat hai
hamāre saath sitam-hā-e-rozgār chale
isī kā naam bahārāñ hai kuchh kaho yaaro
chaman meñ hañste hue aa.e sogvār chale
hazār ham pe ḳharābī guzar ga.ī lekin
lahū se apne tirī anjuman sañvār chale
ik ek saañs haiñ sadiyoñ kā dard shāmil hai
tumhārī bazm meñ vo zindagī guzār chale