tum pasīna mat kaho hai jāñ-fishānī kā libās
dhuup meñ chalte hue rakhte haiñ paanī kā libās
parda-poshī kam se kam hotī hai har kirdār kī
pairahan lafzoñ kā bantā hai kahānī kā libās
phir ujāle se safar hogā andhere kī taraf
jab utāreñge badan se umr-e-fānī kā libās
saath chalte haiñ chahakte bolte ilzām bhī
be-shikan hotā nahīñ yaaro javānī kā libās
inqilāb-e-vaqt kā ye bhī karishma dekhiye
hai numā.ish ke liye ab āñ-jahānī kā libās
muflisī ne kar diyā hai us kī ḳhuddārī kā ḳhuun
vo pahantā hai kisī kī mehrbānī kā libās
hukmarāñ to dafn haiñ tārīḳh ke aurāq meñ
dars-e-ibrat de rahā hai hukmarānī kā libās
jagmagātā hai ġhazal ke jism par har daur meñ
mailā hotā hī nahīñ jādū-bayānī kā libās
chand saa.at bhī ḳhushī kī apnī qismat meñ kahāñ
raas kab aayā hai mujh ko shādmānī kā libās
'ramz' vo ahd-e-ġhulāmī ho ki daur-e-hurriyat
ishtihār-e-muflisī hindustānī kā libās