qatra huuñ maiñ vus.at de dariyā kar de
tū chāhe to sāgar ko sahrā kar de
talḳhī kā ehsās miTā de duniyā se
yā-rab tū har peḌ kā phal mīThā kar de
ye ḳhvāhish to sadiyoñ se hai nasloñ kī
ḳhud zāhir ho yā mujh ko ifshā kar de
zard chaTāneñ kaaT rahā huuñ sahrā meñ
gard kī chādar phailā kar saaya kar de
laaj bachā le merī kaj-dastārī kī
baunoñ kī bastī meñ qad ūñchā kar de
zanjīroñ par itnā bharosā mat karnā
josh-e-junūñ meñ vahshī jaane kyā kar de
insāñ ḳhud hai ḳhāliq apnī zarūrat kā
chalte chalte pagDanDī paidā kar de
abr bane to khārī paanī mīThā ho
terī mashiyyat jab chāhe jaisā kar de
merī mohabbat zāmin hai shādābī kī
terī chāhat pattoñ ko piilā kar de
rone vaalo ye bhī to ho saktā hai
ḳhuun kā chhīñTā qātil ko rusvā kar de
itnī duurī 'ramz' hai kyuuñ ghar vāloñ meñ
nafrat kī dīvār girā rasta kar de