mirī zabāñ kī ibārat hai guftugū terī
mire fasāne kā unvāñ hai aarzū terī
abas ki mujh pe hai ilzām-e-ḳhud-farāmoshī
haram se der meñ laa.ī hai justujū terī
fareb-e-nik.hat-e-gul se bachā ke dāman-e-dil
zabān-e-ḳhār se suntā huuñ guftugū terī
hijāb meñ bhī tujhe be-hijāb dekh liyā
har ek phuul meñ chehra tirā hai bū terī
zamāna tālib-e-dīdār hotā jalva-e-nāz
bachī hai tuur ke jalne se aabrū terī
rahā na parda salāmat jamāl-e-parda-nashīñ
guloñ ne khīñch lī tasvīr hū-ba-hū terī
ġharaz hai dair se mujh ko na fikr ka.abe se
maiñ apne aap meñ kartā huuñ justujū terī
jo dekhā ramz kī āñkhoñ meñ baad marne ke
khiñchī thī putlī meñ tasvīr hū-ba-hū terī