Ramz Azimabadi

sadaf ke karb ko wo manta hai

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
sadaf ke karb ko vo māntā hai
ik ik motī kī qīmat jāntā hai
nafāsat se banātā hai khilaune
pasīne se jo miTTī sāntā hai
kahīñ jā.ūñ vo mujh ko DhūñD legā
mujhe merā amal pahchāntā hai
mayassar hai havā-e-dasht us ko
ridā-e-gard se jo chhāntā hai
jo rahtā hai azal kī justujū meñ
vo duniyā meñ kise gardāntā hai
mire qadmoñ se vābasta masāfat
mujhe har rāsta pahchāntā hai
mubārak tujh ko terī be-zamīrī
mujhe is jurm meñ kyuuñ sāntā hai
kasāfat se hai tauqīr-e-latāfat
añdherā raushnī ko chhāntā hai
jise hai yaad qaumoñ kī kahānī
havā ke ruḳh ko vo pahchāntā hai
azal se 'ramz' ye zeb-e-nazar hai
kahīñ salmā kahīñ vo kāntā hai
Top Urdushayar.com