hijr kī rut hai tirā ruup magar sāmne hai
haañ vahī chehra vahī dīda-e-tar sāmne hai
ḳhuub hai shahr-e-amāñ terā yahāñ bhī ai jaañ
jis se ham bach ke chale the vo ḳhatar sāmne hai
ab nahīñ koī yahāñ hausla dene vaalā
phir vahī dasht vahī shām-e-safar sāmne hai
saath chaltī thiiñ abhī ek nagar kī chīḳheñ
ab koī dūsrā majrūh nagar sāmne hai
ab bhī hai duurī kā ehsās ki shal haiñ paañv
yuuñ to maiñ shahar meñ huuñ aap kā ghar sāmne hai
dhuup kī tez tapish aur safar hai dar-pesh
sā.ebāñ koī yahāñ hai na shajar sāmne hai
agle lamhe kā bhalā kis ko yaqīñ hai 'at.har'
zindagī kyā hai bas ik raqs-e-sharar sāmne hai