Ramz Azimabadi

jalne ka hunar sirf fatile ke liye tha

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
jalne kā hunar sirf fatīle ke liye thā
roġhan to charāġhoñ meñ vasīle ke liye thā
sandal kā vo gahvāra jo nīlām huā hai
ik raaj gharāne ke haTīle ke liye thā
ayyāsh tabī.at kā hai ā.īna ik ik iiñT
ye rañg-mahal ek rañgīle ke liye thā
kal tak jo harā peḌ thā kyuuñ suukh gayā hai
jab dhuup kā mausam kisī giile ke liye thā
masjid kā khañDar thā na vo mandir hī kā malba
jo gaañv meñ jhagḌā thā vo Tiile ke liye thā
kāñToñ kā tasarruf use ab kis ne diyā hai
ye phuul to gulshan meñ rasīle ke liye thā
ab rahtā hai jis meñ baḌe sarkār kā kumba
dālān to ghoḌe ke tabele ke liye thā
shohrat kī bulandī pe mujhe bhuul gayā hai
kyā naam mirā 'ramz' vasīle ke liye thā
Top Urdushayar.com