Ramz Azimabadi

hai samundar samne pyase bhi hain pani bhi hai

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
hai samundar sāmne pyāse bhī haiñ paanī bhī hai
tishnagī kaise bujhā.eñ ye pareshānī bhī hai
ham musāfir haiñ sulagtī dhuup jaltī raah ke
vo tumhārā rāsta hai jis meñ āsānī bhī hai
maiñ to dil se us kī dānā.ī kā qaa.el ho gayā
dostoñ kī saf meñ hai aur dushman-e-jānī bhī hai
paḌh na paao tum to ye kis kī ḳhatā hai dosto
varna chehra mus.haf-e-āmāl-e-insānī bhī hai
zindagī unvān jis qisse kī hai vo aaj bhī
muḳhtasar se muḳhtasar hai aur tūlānī bhī hai
ratjage jo bāñTtā phirtā hai saare shahr meñ
vo fasīl-e-ḳhvāb meñ barsoñ se zindānī bhī hai
be-tahāsha vo to miltā hai mohabbat se magar
kuchh pareshānī bhī hai aur ḳhanda-peshānī bhī hai
apnā ham-sāya hai lekin fāsla barsoñ kā hai
aisī qurbat itnī duurī jis meñ hairānī bhī hai
zindagī bhar ham sarāboñ kī taraf chalte rahe
ab jahāñ thak kar gire haiñ us jagah paanī bhī hai
'ramz' terī tīra-baḳhtī kī ye shab kaT jā.egī
raat ke dāman meñ koī chiiz nūrānī bhī hai
Top Urdushayar.com