ye zindagī sazā ke sivā aur kuchh nahīñ
har saañs bad-duā ke sivā aur kuchh nahīñ
bikhrī haiñ rāstoñ pe safar kī kahāniyāñ
duniyā nuqūsh-e-pā ke sivā aur kuchh nahīñ
bachchoñ kī laash chāk-ridā aur burīda-sar
har shahr karbalā ke sivā aur kuchh nahīñ
zambīl zindagī meñ baḌoñ kā diyā huā
kuchh sikka-e-duā ke sivā aur kuchh nahīñ
ye tajraba mirā hai ki ik lamha-e-nashāt
miTTī bharī ġhizā ke sivā aur kuchh nahīñ
aks aur ā.īna meñ agar rābta na ho
ye bhī ġhalat anā ke sivā aur kuchh nahīñ
har shai ko us ke asl kī tamsīl jāniye
kaunain meñ ḳhudā ke sivā aur kuchh nahīñ
ai 'ramz' koī de de mujhe zahr-e-be-hisī
ye āgahī sazā ke sivā aur kuchh nahīñ