Ramz Azimabadi

is sadi ka jab kabhi KHatm-e-safar dekhenge log

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
is sadī kā jab kabhī ḳhatm-e-safar dekheñge log
vaqt ke chehre pe ḳhāk-e-rahguzar dekheñge log
tuḳhm-rezī kar rahā huuñ maiñ isī ummīd par
phūlte phalte hue kal ye shajar dekheñge log
aql-e-insānī kī jis din intihā ho jā.egī
ḳhatm hote chāñd sūraj kā safar dekheñge log
kāñch kī dīvār patthar ke sutūñ lohe kī chhat
har jagah har shahr meñ aisā hī ghar dekheñge log
jur.at-e-parvāz ke anjām se vāqif huuñ maiñ
ḳhuun meñ Duubā huā ye bāl-o-par dekheñge log
kyā isī din ke liye māñgī thī phūloñ kī duā
shabnamī-mausam meñ bhī raqs-e-sharar dekheñge log
ḳhatm ham par haiñ shab-e-zindāñ kī saarī saḳhtiyāñ
zehn o dil āzād hogā vo sahar dekheñge log
anjuman ko faiz pahuñchā.egī sham-e-anjuman
kyā hasīñ hotī hai umr muḳhtasar dekheñge log
'ramz' maiñ apnī zabāñ se kuchh nahīñ batlā.ūñgā
kis taraf uThtī hai ye merī nazar dekheñge log
Top Urdushayar.com