Ramz Azimabadi

parda ruKH-e-fitrat se haTa kar nahin dekha

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
parda ruḳh-e-fitrat se haTā kar nahīñ dekhā
manzar pe nazar thī pas-e-manzar nahīñ dekhā
ansār ke ḳhanjar pe muhājir kā lahū hai
tārīḳh ne aisā kabhī manzar nahīñ dekhā
patthar kī siyāsat se jo mahfūz rahā ho
aisā kisī shīshe kā muqaddar nahīñ dekhā
thī dastaras-e-fikr meñ vo sā.at-e-ḳhush-rañg
ḳhushbū kā badan thā use chhū kar nahīñ dekhā
vo shahr ke hañgāmoñ meñ ḳhāmosh khaḌī hai
shāyad shab-e-hijrāñ ne mirā ghar nahīñ dekhā
tarshe to sanam pighle to shīshe kī nazākat
ai kam-nazro tum ne vo patthar nahīñ dekhā
jhukne nahīñ detī hai anā tishna-labī ko
dariyā kī taraf maiñ ne palaT kar nahīñ dekhā
hai us ko bahut quvvat-e-bāzū pe bharosā
dariyā ke shanāvar ne samundar nahīñ dekhā
hai ġham hī se labrez to phir kaisī masarrat
kyā tū ne mirā zarf-e-muqaddar nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com