Mani Nagpuri

bujha deta hawas ki tishnagi wo jam hai saqi

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
bujhā detā havas kī tishnagī vo jaam hai saaqī
jahāñ maiñ jis se miltā huuñ vahī nākām hai saaqī
nasha gahrā kahāñ itnā ki hoñ chaudah tabaq raushan
taraqqī-yāfta mulkoñ kī baada ḳhaam hai saaqī
mire atrāf hai tīra-shabī meñ nuur kā halqa
ki sham-e-rāh maiḳhāne se ghar tak jaam hai saaqī
kitāb-e-sīrat-o-aḳhlāq de insāñ ke hāthoñ meñ
taraqqī dānish-o-ījād kī nākām hai saaqī
sunā iqbāl-e-isyāñ ḳhalvatoñ meñ vaj.h-e-baḳhshish hai
kalīsāoñ meñ ye tarz-e-ibādat aam hai saaqī
vahī zālim haiñ sho.ala-bār insānoñ kī bastī par
vo israel jin par bārish-e-ikrām hai saaqī
amal-pairā vahī haiñ ḳhush-ḳhor-o-ḳhush-zī pe saḳhtī se
zabāñ pe jin kī fāqa-kash kā har dam naam hai saaqī
kahāñ nān-e-javīñ aur roġhan-e-zaitūn-o-shaiḳh-e-dīñ
ra.ūsā ke yahāñ mīlān-e-dāvat aam hai saaqī
rivāj-e-madrasa hai dopahar ke vaqt qailūla
yahāñ shab zinda-dārī mā.il-e-ārām hai saaqī
ḳhafā hai madrasa ik sidq-go-e-nāgpūrī se
tirā mai-ḳhvār is māhaul meñ badnām hai saaqī
Top Urdushayar.com