athar shakeel

abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna

athar shakeel

Nagina, Uttar pradesh, India

1968
abhī tavaqqo.a banā.e rakhnā abhī umīdeñ jagā.e rahnā
bahut ghanā hai añdherā shab kā diloñ kī sham.eñ jalā.e rahnā
ḳhudā hī jaane ki aane vaalī rutoñ meñ kyā ho jahāñ kī hālat
abhī ye naġhme na band karnā abhī ye mahfil sajā.e rahnā
ye dekhnā hai ki dam hai kitnā ġhanīm lashkar ke bāzuoñ meñ
safoñ ko apnī sajā.e rakhnā suroñ ko apne uThā.e rahnā
yahāñ kahāñ bastiyoñ kī raunaq yahāñ to sannāTā chīḳhtā hai
ujaaḌ sahrā kā ye safar hai diloñ kī duniyā basā.e rahnā
abhī hai ḳhatra nafas nafas par abhī haiñ qātil galī galī meñ
'shakīl' āñkheñ na band karnā 'shakīl' ḳhud ko jagā.e rahnā
Top Urdushayar.com