lutf be-bāk mulāqāt kā mushkil se uThā
ek parda thā bil-āḳhir jo muqābil se uThā
husn-e-ḳhalvat-talabī ke liye mahfil se uThā
ġhair az ishq jo jazba ho use dil se uThā
kaif-e-vīrānī-e-ḳhalvat se na mahfil se uThā
zauq-e-dil-bastagī jab tak na tah-e-dil se uThā
ishq jaisī koī shaḳhsiyyat-e-jāma.a na milī
ek bhī harf is afsāne kā mushkil se uThā
aql se gesū-e-getī nahīñ suljhe yārab
koī dīvāna isī aab isī gil se uThā
pā-shikasta ġham-e-vāmāndagī-r-rāh na kar
paas aane ko tire ḳhud koī manzil se uThā
raat guldasta-e-afsurda-dilī chhoḌ ga.ī
gul-ba-kaf vaqt-e-sahar jo tirī mahfil se uThā
ham-safar kaun hama-vaqt hai saa.e kī tarah
maiñ uThā huuñ to koī saath muqābil se uThā
chāñd taare bhī the mushtāq ki 'mānī' ko suneñ
sub.h-dam tak na koī raat kī mahfil se uThā