Mani Nagpuri

wo shusta shusta gesu pakiza-tar nigahen

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
vo shusta shusta gesū pākīza-tar nigāheñ
saa.e meñ mai-kade ke ābād ḳhān-qāheñ
pās-e-adab se kab tak nīchī raheñ nigāheñ
shaffāf āstīneñ jalva-farāsh bāheñ
in ke liye nahīñ haiñ mauzūñ alam karāheñ
ye garm garm aañsū ye sard sard aaheñ
guzre haiñ vo idhar se tasdīq ho rahī hai
gul hai na gulsitāñ hai mahkī huī haiñ rāheñ
yaad aa.e haiñ sitam jab yaad aa ga.e karam bhī
māyūs ho chale the phir mil ga.iiñ panāheñ
ḳhushbū-e-gul se merā dil baiThne lagā hai
kyuuñ sub.h sub.h aa.eñ phūloñ ke lab pe aaheñ
'mānī' kī pāk-bāzī is daur meñ na chaltī
nigarāñ rahī haiñ dil kī har vaqt vo nigāheñ
Top Urdushayar.com