Mani Nagpuri

main kya kahun ki teri chashm-e-iltifat nahin

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
maiñ kyā kahūñ ki tirī chashm-e-iltifāt nahīñ
hayāt-e-shauq pe taarī ġham-e-hayāt nahīñ
jo dil pe guzrīñ mohabbat ke ḳhaas lamhoñ meñ
hudūd-e-sharh-o-bayyañ meñ vo vāqi.āt nahīñ
ġham-e-davām-e-mohabbat hai tishna-e-ma.anī
fanā ke ba.ad agar manzil-e-hayāt nahīñ
tire baġhair bhī ehsās-e-zīst hai lekin
taḌap meñ dard kī vo shorish-e-hayāt nahīñ
maqām-e-be-ḳhudī ishq ai ma.āz-allāh
maiñ us jagah huuñ jahāñ mujh ko hosh-e-zāt nahīñ
nigāh-e-dost tirī dil-navāziyāñ ma.alūm
ḳhatā muaaf maiñ ḳhvāhān-e-iltifāt nahīñ
jamāl tak hī na mahdūd rakh nazar 'mānī'
ki āshiqī kī yahī saarī kā.enāt nahīñ
Top Urdushayar.com