niiñd meñ hai zamīñ āsmāñ so gayā
aa bhī jaao ki saarā jahāñ so gayā
aao ḳhalvat-sarā-e-haram chhoḌ kar
bām-o-dar so ga.e pāsbāñ so gayā
sub.h-dam naqsh-e-pā un ke dhuñdlā ga.e
chāñd bar-jāda-e-kahkashāñ so gayā
baal bikhre hue chehra utrā huā
shab kī āġhosh meñ gulsitāñ so gayā
ġham kī lau tez hañgāma-e-shauq kam
aag sulgā dī aur kārvāñ so gayā
zulf-o-ruḳh kyā kaheñ din kahīñ raat hai
ik jahāñ jaag uThā ik jahāñ so gayā
'mānī' sham-e-harīm-e-ġhazal bujh ga.ī
vo 'jigar' shā.ir-e-ḳhush-bayāñ so gayā