ḳhayāl-e-husn zarūrī hai zindagī ke liye
charāġh le lo añdhere meñ raushnī ke liye
chhupā.e se bhī kahīñ ishq-o-mushk chhupte haiñ
savāl ban ga.ī be-pardagī kisī ke liye
mujhe jo faiz uThānā hai maiñ uThā lūñgā
ġharaz nigāh-e-karam hai vo ab kisī ke liye
vo dil nazar se girā deñ to ġham kī baat nahīñ
ye jaam vaz.a huā hai shikastagī ke liye
bahakne lagtī hai duniyā sharābiyoñ kī tarah
nazar uThānā bhī dushvār hai kisī ke liye
zamāna jab kabhī āmāda-e-fareb huā
kisī ne parda uThāyā hai āgahī ke liye
surūr-e-chashm-e-nigārāñ na pūchhiye 'mānī'
tabī.at aaj bhī mauzūñ hai shā.irī ke liye