nazar aa.e kyā ġhubār mah-o-kahkashāñ se aage
koī kārvāñ hai shāyad mire kārvāñ se aage
koī sar ho sarf-e-sajda kahāñ aaj be-irāda
ki zamīñ hī be-kashish hai tire āstāñ se aage
tirī yaad dastgīr-e-dil-e-ġham-zadā huī hai
mujhe saath le chalī hai ġham-e-do-jahāñ se aage
ye jahāñ ba-nām-e-jannat kahīñ phir na pesh aa.e
vahī qasr-o-bāġh jo haiñ mah-o-kahkashāñ se aage
tire gesuoñ kī ḳhushbū ye payām de ga.ī hai
ki nashāt-bār saa.e haiñ ġham-e-tapāñ se aage
kaheñ kis se ho ga.ī hai yahīñ aa ke ḳhatm duniyā
ki nahīñ hai koī manzil haram-e-butāñ se aage
kaTī ek umr-e-furqat sar-e-barzaḳh-e-mohabbat
ki chalā na jā rahā thā dil-e-nā-tavāñ se aage
vahīñ dā.imī ḳhushī ke haiñ chhupe hue ḳhazāne
jo pahāḌī silsila hai yam-e-be-karāñ se aage
his-e-bāsira ko 'mānī' jo samī.a-e-kaif kar de
vo suḳhan-tarāz nargis hai kahīñ zabāñ se aage