qaid jab ham pe lagī vus.at-e-dāmāñ ke liye
kitnī kasrat se khile phuul gulistāñ ke liye
vo munājāteñ kahāñ haiñ tire ehsāñ ke liye
kasrat-e-shauq nahīñ ālam-e-hirmāñ ke liye
jaise har husn se mumtāz hai vo husn tamām
ham haiñ e.azāz ke qābil nahīñ jānāñ ke liye
qār.īn-e-nigah-e-nāz hī samjhe vo ḳhat
surḳh Doroñ meñ jo tahrīr hai armāñ ke liye
riñd laa.e mai-o-sāġhar kī hasīñ tashbīheñ
isti.āra nigah-e-husn thī paikāñ ke liye
ḳhauf kyā ho rah-e-tārīk-e-bayābāñ kā hameñ
kam nahīñ kirmak-e-shab-tāb charāġhāñ ke liye
ashk-e-ġham roke raheñ fāqa-guzāroñ se kaho
paanī gulḳhan se chalā nuuh ke tūfāñ ke liye
kī na jab ahl-e-siyāsat ne sitam se tauba
ham utāre ga.e is qaum-e-bad-unvāñ ke liye
dar jahān-e-gul-e-be-ḳhār nachīdast kase
ġham na kar 'mānī'-e-nashtar-kash-e-daurāñ ke liye