shā.irī hāsil-e-dīvāngī-e-dil to nahīñ
narm halqe tirī zulfoñ ke salāsil to nahīñ
qaus-e-abrū ḳham-e-gesū shikan-e-peshānī
aaj bhī ishq ke pechīda masā.il to nahīñ
ik jhalak duur se dikhlā ke vo chhup jaate haiñ
sañg-e-mīl aa.e haiñ kuchh raah meñ manzil to nahīñ
tez-rau chāñd ghaTāoñ meñ tah-o-bālā hai
muztarib koī safīna pa.e sāhil to nahīñ
tishnagī meñ nazar aate haiñ sarāb-e-sahrā
har nazar par ye gumāñ hai koī maa.il to nahīñ
fāsle tai na hue rā-navardī ke baġhair
gāmzan jānib-e-rahrav koī manzil to nahīñ
kyuuñ na ġhāfil ho farā.ez se zamāna 'mānī'
kam yahāñ vaqt guzārī ke mashāġhil to nahīñ